Thursday 29 May 2014

Shiksha ke baare me soch !!!

Mumbai ki local train ka drishya- Ek kaam kaji mahila aur satra athara saal ki ladki ki baat cheet!!!!!!!!!!!

Mahila : Kaha padhti ho?
Ladki: Mai padhti nahi job karti hu!!!

Mahila: Job?? Abhi toh padhne ki umar hai tumhari.
Ladki: Kya karna hai padh kar? Aap ne itna padha aur job karti hain, main bhi job karti hun. Jyada padh kar bhi mai call center me aap se jyada paisa kamati hun. Aur aapka teacher ka job...sheeee...mai toh kabhi na karu.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Yeh soch hai hamare bharat me yuva warg ki, Bharat me ucch shiksha ka star kam hota jaa raha hai. Dusvi baarahvi padhi, angreji bolne aagayi, paisa kama rahe hai. Kyu shiksha par itni mehnat, paisa aur samay zaya kare? agar yehi nazariya raha toh aaj ki peedhi yeh bhi kehte hue nahi hichkichayegi ki padhne se kya hota hai? Nahi padhne ke baad bhi toh shiksha mantri bana jaa sakta hai.

Gurudev rabindranath tagore, Raajgopalachaari, kaamraaj, Steve jobs..
Se aaj ki shiksha mantri ki tulna karna shobha nahi deta.
Kisine do chaar baar anshan kar liya toh gandhi ban gaya!!
Kisine jodtod se pad haasil kar liya toh gurudev tagore ban gaya?
Kaam toh abhi dekhna baaki hai woh toh baat ki baat hai,
Par shiksha...woh toh kahi dikhai nahi deti...

Ab aane wale samay ka intezaar karo!!!!!!!!!!!!



Bharat-Pak Sambandh !!!

Bharat pakistan ka sambandh charcha me hai,
Pakistan ko nimantran kyu diya gaya? Iss par sawal.
Aisa unke desh me bhi ho raha hai.
Par maitri aur sadbhav ka haath toh badhana hi padega,
Hum akele toh nahi reh sakte.
Padosiyo se sambandh rakhna hi padega,
Aur padosi ko kabhi chota nahi samajhna chahiye
Pareshaan karne pe utar aaya toh woh hume pareshaan kar sakta hai.

Mitrata ganit nahi hai ki joda aur ghataya jaye,
Kya diya kya liya, Kya khoya kya paaya,
Iss se upar uth kar sampoorna manav jaati ke baare me sochna hai,
Aaj saara vishwa baaroodh ke dher par baitha hai,
Aise samay me dhairya, Shanti, Sadbhavna, Maitri ki bahut jaroorat hai,
Aur isme pehel karne se hichakna nahi chahiye.




Wednesday 28 May 2014

Shiksha ko lekar itna hai tauba kyu???


Shiksha mantri kaun banega? Iss par vivaad kyu?
Shiksha mantri ko shikshit hona awashaq nahi? Wah bhi aaj ke yug me?
Jeevan hi sabse badi paathshaala hai, Anubhav hame bahut kuch sikhata hai,
Bahut aise upwaad hai jinke pass degree nahi lekin ve mahan ho chuke hai,
Lekin isse shiksha ka mahtva toh kam nahi ho jata.

Aaj hum ikkisvi sadi me jee rahe hai, Degree ka koi mahtva nahi??
Ya padhne se kya ho jata hai? Kehna shobha nahi deta,
Kam pade likhe log bhi bahut paisa kamate hai,
Iss ka matlab yeh toh nahi ki jinhone raat din mehnat kar ke degree hasil ki hai,
Mata pita ke athak parishram ka paisa baha hai, wah sab be-mani hai.

Pariksha toh pass karni hai, aur praman patra bhi lena hai, uska ek hi jariya hai - Shiksha!!!
Television ki nayika, Aur raliyo me bhashan dena alag baat hai,
Gyanarjan en sab se upar hai, Shiksha mantri ko shikshit hona hi chahiye,
Wah bhi aaj ke pratispardhi yug me.
Agar swam shikshit nahi hai toh desh ki bhaavi peedhi ko kya marg darshan dega?
Aur Desh ka vikaas kaise hoga????
education

Sunday 25 May 2014

Kya yehi naari ki niyati hai????

Ek yeh hai, dusri woh thi
Ek Jashoda hai toh dusri yashodhra thi,
Ek Sidharth ki patni, toh dusri Narendra ki patni,
Ek ne bodhi prapt karne ke liye aadhi raat ko patni ko soti hui chod kar chale gaye
Toh dusre ne patni ko padhne ki salah dekar ghar chod diya,
Samay ne ek ko sidharth se bhagvan budh banaya,
toh dusre ko bharat ka pradhanmantri Narendra modi banaya.

Dono striyo ne chup chap bhagya ki lekhni ko swikaar kiya,
Pati ki nishtha me koi kami nahi aayi,
Ek mahal me rehkar sanyasni bani rahi, dusri wahi rehkar bachho ko gyandaan karti rahi.
Kya kabhi yashodhra ko khayal nahi aaya hoga ki jo bhagvan budh bane hai unse jaa kar puchu,
"Mera kya kasoor"???
Kya kabhi jashodaben ko nahi laga hoga ki jaakar gujrat ke mukhyamantri se poochu,
"Mera kya kasoor"???
Wah stri umra ke iss padav par bhi asha liye baithi hai,

Ek ne budhatva ke prapti ke baad swikaar kiya ki yashodhra ka mai doshi hun,
Saare sansaar ke liye bhagvan sahi lekin uske liye toh uska pati hun.
Dusre ne parcha bharte samay swikaara ki mai shaadishuda hun,
Patni ka naam jashodaben.

Kaha jaata hai itihaas swayam ko dohrata hai,
Naam samman purush ko lekin uski upekshta patni ke yogdaan ko koi nahi dekh paata.
Kya yehi naari ki niyati hai????


Saturday 24 May 2014

BANDH KARO TAMASHA!!!

AAP HOGAYE NAKAM,JANTA HAI SABKI BAAP
AB TOH CHHOD DO NETA BANNE KI AAS
JANTA KO MAT KARO PARESHAN KARKE BAWAAL
MAT KARO NAUTANKI,KANOON KA KARO SAMMAN
SATYAGRAH AUR GANDHI KO MAT KARO BADNAM
JAB DEKHO TAB DHARNA-PRADARSHAN
ISSE NAHI BAN JATA KOI MAHAAN

SAB BHRASHTACHARI SAB BEIMAAN
KEVAL EK AAP HE HAI IMAANDAR?
JANTA SAMAJH GAYI HAI SAARE HATHKANDE
HARNE K BAAD BHI NA CHETE
KABHI HAAN-KABHI NAA,KABHI YEH SAHI AUR KABHI VAH SAHI
PEHLE AAP SWAYAM SAMAJH LIJIYE AAKHIR AAPKO KARNA KYA HAI..

                

Friday 16 May 2014

Yeh Mann mange MORE !!!!!!!!!!!!!!!!

Yeh mann mange more,
Phele modiji aap janta se maang rahe the,
janta ne toh de diya aap ke mann mutabik,
Ab aap ki baari hai ache din laana hai.

Har yuva ko rojgaar,
Har vyakti ko bhojan,
Har parivaar par chhat,
Har sadak pakki,
Har ghar me bijli paani,
Har kisiko samman adhikaar,
Har stri, baalika ki surakhsha,
Mazdoor kissan ka vikaas,

Sukhi, samrudh, shaktishali bharat ka nirman.
Sare bhrashtachar aatankwaad ko khatam karo,
Desh ke vikaas ke sapne ko saakaar karo,
Janta bol rahi hai apne waade ko nibhavo,

Hamari maange puri karo sarkar.
Hamari maange puri karo sarkar.


Thursday 15 May 2014

Chal chala chal!!!!!!!!!!!!!!!!

Gujrat ke ek chotese gaon badhnagar ka sadharan parivar ka beta,
Kisne socha na hoga ki yeh bharat ke pradhanmantri ki kursi tak pahuchega,
Sare bhaye, moah, lalsa, ko tyag kar ghar parivar,patni chodna itna aasaan nahi,
Gali,pahad bhatakna, Chai bechte bechte netaao ki baat-chit ko sunna,
Shayad yahi se raajneeti ki disha mili.

Sahas aur shraddha ke sath prayas karna,awashyaq hai vijay ke liye,
Yahi prayas aur karmathta ne modi ko sabse aage la kar khada kar diya,
Itni railiyaan, Itna prachaar, har vyakti ke beech pahuchne ki koshish,
Modi ke iss prayaas ne bhartiya raajneeti ko badal diya,

Dharm, Jaati, sampraday, prant..sabhi bandhan ko tod kar janta modi ke peeche chal di,
Bhartiya raajneeti ka chamakta sitara bana diya, Janta toh aisa hi neta chahti hai,
Kami janta me nahi, Neta swayam ko prabhavshaali banaye,
Toh Janta aapke saath pure mann se hogi!!!!!!!!!!!!!!!!



Tuesday 13 May 2014

SARDARO KE SARDAR DR.MANMOHAN SINGH (SINGH IS KINGGG)!!!

SHUKRIYA Dr.MANMOHAN SINGH sthir sarkaar dene k liye
Kahavat hai 100 bolta ko 1 chuppa haraye
Bina bole,bina chillayein bhi kaam kiya ja sakta hai ye apne dikha diya
jis pradhan mantri ki kursi k liye hodd lagi rehti hai vaha kursi apko apne aap mil gayi
SHAYAD NAHI??

Imaandari,nishtha,buddhimani,karm ka phal tha
vishwa ka itna bada arthshashtri,bharat jaise vishal desh ka pradhan mantri
kamzor toh katay ho he nahi sakta,aur kisi ke hath ki katputli toh bilkul nahi

Mandi mein bhi samtol banayein rakhna,barack obama se lekar russia-japan sabhi se sambandh banayein rakhna.In 10 saalon mein aapne aur apki sarkaar ne bahut kuch desh ko diya hai.
apke netrutva mein samanya jan,shtriyon ke adhikar,khad-ann suraksha,arogya,suchna ka adhikar jaisi bahot saari yojnayein parit hui.
atankvaad,prakartik apda,gruh-kalesh,prantiya samasya sabhi se bakhubi nipte

Rajneeti ke gandagi se koi achhuta nahi reh sakta lekin ap usse achhute rahe
virodhiyo ke prahaar,patrakaro ke sawaal sabka shantipurn jawaab diya apne kaam se.
itna sadha hua vyaktitwa,bolchal kriyakala par pura niyantran
vishwa mein bharat ki pratishtha ko banayein rakhne mein apki bhoomika ko nazarandaaz kiya he nahi ja sakta.

Shantata,saumyata,imaandari,achhayi,karmathta,budhimani ki pratima
sardaar DR.MANMOHAN SINGH apne saabit kar diya ki "SINGH IS KINGGG"
bharat he nahi sari duniya ka mann mohne wale MANMOHAN apke achhe swastha aur khushi ki dua karte hai.

Aane wala agla pradhanmantri apse aur apke anubhav se prerna le toh bharat ka vardhmaan aur bhavishya dono behtar hoge.
bolna zaruri nahi kaam karna zaruri hai yehi agle pradhaanmantri se apeksha hai!!!

Dhanyavaad.


                   

Monday 12 May 2014

Chunav ke aage kya????

Parivartan prakarti ka niyam hai, Jo phele tha woh aaj nahi,
Jo aaj hai woh kal nahi, Samay chakra toh chalte rehta hai,
Par samay jaate jaate kuch sochne ke liye chod jata hai,
Bade bade raja maharaja, unki satta ..sab khatm,
Mahal khandar ban chuke hai.

Bhartiya rajneeti me bhi parivartan ho raha hai,
Yeh prajatantra ke liye, Ek shubh sanket hai,
Praja ya desh kisi ki bapauti nahi hai,
Darne ki nahi sochne ki jaroorat hai,
Agar kaam nahi kiya toh, yehi sar par bithane wali janta, patkhani de degi.

Chunav khatam ho chuka hai, Ab aage ki ranneeti kya??
Jeetne walo ko kis tarah vikas karna hai,
Tatha haar ne walo ko aur kya kami reh gayi yeh sochna hai.
Har aur jeet toh honi hi hai., Par usse kya hamare rajneta sabak lenge?
Swach aur saaf-suthri rajneeti karenge ya badle ki?

Saath me janta ko bhi jo bhrashtachar ka rona roti hai,
Bhrashtachar toh neeche se shuru hota hai,
Kahi hum bhi toh nahi?
Chota ya bada jurm, Jurm hi hota hai.
Athah parivartan bhi neeche se hi shuru karna hoga,
Neeche se upar sampoorna parivartan chahiye.


                                         


Saturday 10 May 2014

Tune mujhe banaya !!!!!!!!!!!!!!

Mamta, Pyar ki paryayvachi maa,
Jiwan daini, Pavitrata ka aabhas deti maa,
Sangharsho se jujhti, pida se sakshatkar karati maa,
Vishwas aur Shradha ki murti maa,

Kashto, Dukho ka niwaran karti maa,
Duniya ki nazro se aanchal me chupati maa,
Swayam ke sukho ko nyochavar karti maa,

Kya kewal yahi hai maa ka astitva???
Shayad nahi!!!!!!!
Iske aalwa ek vyakti bhi hai maa,
Uski bhi apni ichhayein, bhavnaye hoti hai,
Yeh samjhne ki koshish ki hai kisi ne?

Adhikar ki baat toh sab karte hai,
Kartavya ki, Prem ke mulya ki,
Prem, Mulye, Pratidaan toh nahi chahta,
Par itni apeksha toh kar hi sakta hai,

Jinko humne jivan diya,
Jeena,chalna, bolna, sikhaya,
Unse aadar samman ke haqdaar toh hai hi hum.

Koi samjhe ya na samjhe,
Par Swayam ki santaan toh samjhe,
Bus yehi hai kafi jeene k liye.
Swayam ko mita kar naya jivan dena,
Isse badi uplabhdhi kya ho sakti hai ek maa k liye??





Main hu kaun??????? Main hu MODI !!!!!!!!!!!!

Khub lade mardane woh toh gujrat wale modi hai,
Chappan inch ka seena tane,
Sher ki tarah dahadte,
Vyang kar janta ko hasate,
Kabhi Shehjada...toh kabhi sher aur saand ki baat,
Kabhi dalit toh kabhi chai wale ki rajniti,

Nakli lal kila se bhashan dete,toh kabhi ganga mayiya ki godi ki shobha bante,
Sab kuch bol kar bhi kuch na bolna,
Kissi baat me na phasna,
Chatkare vyang kar janta ko prabhavit karna,
Yuvao ko rojgaar dene ka wada karna,

Gujrat vikas ka model,
Gujrat ki tarif karte nai thakna,
Social media ke dwara tana bana bunna,
Marketing me Maharat hasasil karna,
Apne virodhiyo ko charo khane chit kar dena,

Apni hi party ke nahi, dusre partiyo ke virodh par bhi apna loha manwane ki kala,
Patrkaro ko bhi unke hi sawal ka unse hi jawab mangna,
Itna baho aayami vyaktitwa bhartiya rajneeti me kya gul khilayega,
Dekho aur Intezaar karo...


Aam Aadmi!!!!!!!!!

Aam Aadmi jab tak shant hai, tab tak shant hai..
Seh raha hai chup chap..Bhrashtachar, Ghuskhori, Mehengai, Ashiksha, Bekari, Asuraksha ko,
Kyunki use parivar aur ghar chalana hai..Yeh toh bechara hai kya karega??
Lekin yehi aam aadmi...jab uth khada hota hai, toh bade bade rajwado aur satta ko palat deta hai.

Itihas gawah hai...vishwa me badi badi krantiya ho chuki hai..
Isiliye aam aadmi se panga mat lo..Bhartiya rajniti me aam aadmi ne bawandar macha diya..
Badi badi rashtriya partiya,bade bade neta sab ki bolti band kar di.

Satta me aaye ya na aaye,
Par chetavani toh de hi di,
Apna kaam Achi tarah se karo,
Nai toh tumhari khair nai!!!!!!!!!!!!!!


Yeh to BANA + RAS hai !!!!!!!!!!!!!!!!

Yeh to banaras hai,
Sare ras yaha samaye hue hai,
Bhakti, Sahitya, Sanskriti, Sauhadra aur ab rajniti...

Mandir ki ghanti se lekar..bismilah khan ki shehnai tak...
Ganga yamuna sanskriti ka mail hai banaras,
Maa ganga ki godh hai, apne sare bacho ko pyar se samete hue,
Banarsi pan aur kulhad ki chai,

Kabir tulsi aur madan mohan malvi ka banaras,
Shagun se lekar nirgun dhara tak,
Banaras ki saadi aur ganga ka paani,
Inka nahi koi saani.

Aaj chunav ka akhada ban chuka hai banaras,
Har koi apna Shakti pradarshan kar raha hai,
Teri bheed se jyada meri bheed,
Jan sailab umad raha hai,
Par vote kise milega yeh toh koi nai bata sakta hai.

Dekhe banaras ka faisla,
Tab tak isse BANA-RAS hi rehne do!!!!!!!!!!!!!


Friday 2 May 2014

KYA SAMPOORNA VIKAS HOGA???

Pandit Nehru k panchsheel ka sandesh,Lal Bahadur Shashtri ka taashkand ka samjhauta
Gungi gudiya indira ki hunkaar,Rajiv Gandhi ka ekisvi  sadi ka bharat
Narismha Rao jaise kushal rajnitigya,Vigyaan aur kavitao ko jodne wale Atal Bihari Vajpayee
Manmohan jaise mandi ke bhi prabhav mein na padne dene wale arthshashtri.

Roti siksha udyog mein vikaas,Sadke,nahar yatayat ke sadhano ka vikaas
Ghar-Ghar mein doordarshan,Har hath mein mobile,sarva dharam sambhaav-sarva jan hitaye
Vikaas ki ore  aggrasar hota bharat.

Duniya ka sabse bada prajatantra,Sari nigahein hum par lagi
koi bhi jeete ya haare par bharat ka vikas kare
kyuki neta ya party nahi,mudda vikas ka hai.

Ab toh sampoorna vikaas chahiye!!!
koi waadein koi naarein nahi keval vikaas vikaas vikaas!!!

                                 
                                           
                                    

ADHIKAR

kinnaro ko bhi adhikar,iska swagat hai.kam se kam izzat aur mehnat ki roti toh khayenge.
tali bajakar aur bhik mangkar gujara karne se behtar hai izzat ki roti khana.
kya ve manushya nahi?kyu kami k dhrushti se dekha jaye unhe.
unka kya kasoor,vidhata ne jab aisi rachna ki.
ek zindagi jo mili hai kyu usko aise he zaya kiya jaye.

Shadi byah,bachhe ki paidaish par nachna,dua dena isse acha hai apne pairo pe khade hona.
apne vajood ki pehchan bana na,kisi se lene ki nahi par dene ki koshish karna.
tabhi toh zindagi ko sahi mayne mein jeena kaha jayega.

dhanyawad jisne unhe "ADHIKAR' diya!!!