Monday 30 March 2020

Waqt to phir waqt hai

*Waqt to phir waqt hai....*

*Waqt to phir waqt hai, guzar hi jayega,*
*Aaj nahi to kal sab theek ho hi jayega,*
*Kal tak waqt ki kami thi,*
*Zindagi jaane kis raftaar se bhaag rahi thi,*
*Aur hum uske peeche.*
*Ye jo din beet rahe hain, inhein khwaab main dekha tha,*
*Haqeeqat main har kisi ko waqt se kitni shikayat thi,*
*Kahin kuch rahaat ke pal naseeb hon,*
*Kuch waqt mile apnon ke saath guzaarne ka*
*Bachon ke saath baith kar wo bachapan ke khel khelne ka,*
*Ek dusre ka kaam main haath batane ka,*
*Doston se fursat main baat karne ka,*
*aaj Waqt ruka hai,*
*To hum kyun ruk nahi paa rahe,*
*Kyu bechain hain,*
*In palon ko jee nahi pa rahe,*
*Kal kya hoga kon jaanta hai,*
*Jo hoga acha hoga,*
*Ye yaqeen khud par rakhna hai,*
*Apnon ka khayal rakhna hai,*
*Aur zara sa hausla rakhna hai,*
*Waqt to phir waqt hai,*
*Chahe jitna bhi bura ho,*
*Guzar hi jayega....*

Many thanks to the Writer who is unknown to me

No comments:

Post a Comment